Rajasthan ke sarkari mahavidyalayon (Government Colleges) mein graduation shuru karne ka sapna dekh rahe sabhi chhatron ke liye badi khushkhabri hai. Department of College Education (DCE), Rajasthan ne shaikshanik satra 2026-27 ke liye Undergraduate (UG) First Semester ke online admission ka official notification jaari kar diya hai. Is saal ki admission prakriya puri tarah online hogi, jisme merit ke aadhar par pravesh diya jayega.
Agar aap 12th pass kar chuke hain aur Rajasthan ke kisi bhi sarkari college mein B.A., B.Sc., ya B.Com. jaise courses mein admission lena chahte hain, toh ye blog post aapke liye ek complete guide hai.
1. Rajasthan Government College Admission 2026-27: Graduation First SemesterAdmission Schedule
Admission ki prakriya ko samay par pura karne ke liye vibhag ne ek vistrit schedule jaari kiya hai. Niche di gayi table mein aap mukhya tithiyan dekh sakte hain:
| S.No. | (Event) | (Date) |
| 1 | Online Avedan Shuru Hone Ki Tithi | 01 May 2026 (Shukrawar) |
| 2 | Avedan Form Bharne Ki Antim Tithi | 06/06/ 2026 |
| 3 | Colleges Dwara Online Verification | 08/06/ 2026 tak |
| 4 | Merit List aur Waiting List Ka Prakashan | 09/06/ 2026 |
| 5 | Document Verification aur Fees Jama Karana | 13/06/ 2026 tak |
| 6 | Final Selection List Ka Prakashan | 15/06/ 2026 |
| 7 | Colleges Mein Padhai (Teaching) Shuru | 01 July 2026 |
श्रेणीवार रिक्त स्थानों के लिए ऑनलाइन प्रवेश कार्यक्रम
| क्र.सं. | विवरण | वार व तिथि |
|---|---|---|
| 1 | श्रेणीवार रिक्त स्थानों के लिए ऑनलाइन आवेदन प्रारम्भ करने की तिथि | शनिवार, 13.06.2026 |
| 2 | श्रेणीवार रिक्त स्थानों के लिए ऑनलाइन आवेदन करने की अंतिम तिथि | शनिवार, 20.06.2026 |
| 3 | प्राप्त आवेदन पत्रों के ऑनलाइन सत्यापन की अंतिम तिथि | शनिवार, 20.06.2026 |
| 4 | (अ) रिक्त स्थानों के लिए प्रतीक्षा सूची का प्रकाशन (ब) मूल दस्तावेजों का सत्यापन एवं ई-मित्र पोर्टिंग की अंतिम तिथि (स) अभ्यर्थियों द्वारा ई-मित्र पर शुल्क जमा करने की अंतिम तिथि | सोमवार, 22.06.2026 गुरुवार, 25.06.2026 गुरुवार, 25.06.2026 |
| 5 | प्रवेशित विद्यार्थियों की सूची का प्रकाशन | शनिवार, 27.06.2026 |
| 6 | नव प्रवेशित विद्यार्थियों का वर्ग निर्धारण एवं विषय आवंटन | सोमवार, 29.06.2026 |
| 7 | महाविद्यालय में स्नातक प्रथम सेमेस्टर शिक्षण कार्य प्रारम्भ | बुधवार, 01.07.2026 |
2. Rajasthan Government College Admission 2026-27: (Required Documents)
Form bharte samay aapko niche diye gaye documents scan karke upload karne honge. Inka size aur format sahi hona anivarya hai:
| Document Ka Naam | Size Limit | Visesh Tippani |
| Passport Size Photo | 100KB – 150KB | 6 mahine se purani nahi honi chahiye |
| Signature (Hastakshar) | 50KB – 100KB | Safed kagaz par kale pen se karein |
| Caste Certificate | 250KB – 500KB | SC/ST/OBC/MBC/EWS ke liye |
| 10th/12th Marksheet | 250KB – 500KB | JPG/JPEG format mein |
| Bonus/Weightage Cert. | 250KB – 500KB | NCC, NSS, Sports, etc. |
| Bank Passbook Copy | 250KB – 500KB | Fees refund ke liye zaroori |
3. Rajasthan Government College Admission 2026-27:Eligibility
Application form bharne se pehle ye sunishchit karein ki aapke paas sahi pehchan patra hai:
- Rajasthan ke Nivasi: Inke paas Jan-Aadhar Card hona anivarya hai.
- Rajasthan ke Bahar ke Nivasi: Inke liye Aadhar Card zaroori hai.
- Enrolment Number: Agar Aadhar/Jan-Aadhar abhi tak nahi bana hai, toh unke enrolment number se bhi form bhara ja sakta hai.
5. Rajasthan Government College Admission 2026-27:Application Process
- SSO ID: Sabse pehle sso.rajasthan.gov.in par jakar apna registration karein.
- College Selection: Apne pasandida college aur kam se kam 5 subject combinations ki priority list pehle hi bana lein.
- Form Verification: Form bharne ke baad college dwara online verification ka intezar karein (19 May 2026 tak).
- Mobile Number: Form mein apna active mobile number hi dein, kyunki harr update SMS ke madhyam se aayega.
6. Visesh Riyayatein aur Bonus Marks
Rajasthan admission policy ke anusar, kuch vishesh categories ko merit mein extra percentage (Bonus Marks) milte hain:
- NCC/NSS/Sports ke valid certificates hone par.
- Divyangjan, Kashmiri displaced, aur defence personnel ke bachon ke liye vishesh riyayatein.
- Transgender candidates ke liye swa-ghoshna (self-declaration) praman patra.
ये भी पढ़ें :- Rajasthan University PG Admission 2026 Online Form
10th Pass Sarkari Naukri: Railway Group D, SSC MTS, GDS, Army, BSF aur Latest Govt Jobs
Rajasthan Government College Admission 2026-27 :FAQ |
1.College Admission 2026 :Online Application Kaise Karein?
2.College Admission 2026:Documents aur Uploading Niyam
3.College Admission 2026:Eligibility (Patrata) aur Vishesh Paristhitiyan
4.College Admission 2026:Subject Choice aur Merit List
5. Form Mein Galti aur Sudhaar
6. Fees aur Pravesh Navinikaran (Renewal)
|
Helpdesk Number: Kisi bhi pareshani ke liye Ayuktalaya ke helpline number 0141-2706106 par sampark karein
| IMPORTENT LINKS | |
| General Instructions | Click Here |
| Admission Policy | Click Here |
| Steps of Form Filling | Click Here |
| Admission Schedule | Click Here |

💬 Comments (0)
✏️ Leave a Comment